3. AGRICULTURE LOAN (कृषि ऋण)
Definition:
Jab bank kisano ko kheti, beej, khad, traktor, ya irrigation ke liye paisa udhaar deta hai, to ise Agriculture Loan kehte hain.
Agriculture Loan ke Prakaar (Types of Agriculture Loans)
-
Crop Loan (फसल ऋण) – Beej, khad, pesticide aur kheti ke anya kharche ke liye.
-
Tractor Loan (ट्रैक्टर ऋण) – Tractor ya agriculture machine lene ke liye.
-
Irrigation Loan (सिंचाई ऋण) – Tubewell, pump ya pani ke sadhan ke liye.
-
Dairy Loan (डेयरी ऋण) – Gai-bhains kharidne aur dairy business shuru karne ke liye.
-
Horticulture Loan (बागवानी ऋण) – Falon aur sabzion ki kheti ke liye.
Agriculture Loan ka Mahatva (Importance of Agriculture Loans)
✔ Kisano ki madad hoti hai – Unke paas kheti ke liye paisa hota hai.
✔ Zyada utpaadan hota hai – Naye tools aur technology se kheti behtar hoti hai.
✔ Desh ki economy sudhar ti hai – Bharat ek krishi pradhan desh hai, isliye yeh loan economy ke liye zaroori hai.
Example: Real-Life Agriculture Loan Case
Maniye Ramu ek kisan hai. Usne ₹1,00,000 ka crop loan liya taaki beej, khad aur kheti ke anya kharche poore kar sake. Fasl bikne ke baad usne loan wapas chuka diya.
Comments
Post a Comment